चाँद छुपा और टारे Chand Chhupa Aur Tare Lyrics in Hindi from Sohni Mahiwal (1958)

Chand Chhupa Aur Tare Lyrics in Hindi. चाँद छुपा और टारे song from Sohni Mahiwal 1958. It stars Bharat Bhushan, Nimmi, Om Parkesh, Mukri, Chand Barque, Burque Lotan, Achla Sachdev, Kumar. Singer of Chand Chhupa Aur Tare is Mahendra Kapoor. Lyrics are written by Shakeel Badayuni Music is given by Naushad Ali

Song Name : Chand Chhupa Aur Tare
Album / Movie : Sohni Mahiwal 1958
Star Cast : Bharat Bhushan, Nimmi, Om Parkesh, Mukri, Chand Barque, Burque Lotan, Achla Sachdev, Kumar
Singer : Mahendra Kapoor
Music Director : Naushad Ali
Lyrics by : Shakeel Badayuni
Music Label : Saregama

Chand Chhupa Aur Tare Lyrics in English :

Chand chhupa aur tare
Dube raat gajab ki aayi
Husn chala hai ishq se
Milne zulm ki badli chayi
Ho raat gajab ki aayi
Chand chhupa aur tare
Dube raat gajab ki aayi
Husn chala hai ishq se
Milne zulm ki badli chayi
Ho raat gajab ki aayi

Tut padi hai aandhi gam ki
Tut padi hai aandhi gam ki
Aaj pavan hai pagal
Aaj pavan hai pagal
Kaap rahi hai dharti
Sari chikh rahe hai badal
Ho chikh rahe hai badal
Dunia ke tufan hazaro
Husn ki ik tanhai
Husn chala hai ishq se
Milne zulm ki badli chayi
Ho rat gajab ki aayi

Maut ki nagan aan khadi hai
Rah me pankh failaye
Jangal jangal naach rahe
Hai shaitano ke saye
H oshaitano ke saye
Aaj kudaa khamosh hai
Jaise bhul gaya ho khudai
Husn chala hai ishq se
Milne zulm ki badli chayi
Ho rat gajab ki aayi

Ghor andhera mushkil rahe
Kadam kadam pe dhokhe
Ghor andhera mushkil rahe
Kadam kadam pe dhokhe
Aaj mohabbat ruk na sakegi
Chahe kuda bhi roke
Ho chahe kuda bhi roke
Rahe vafa pe pichhe hatna
Pyar ki hai rusvai
Husn chala hai ishq se
Milne zulm ki badli chayi
Ho rat gajab ki aayi

Par nadi ke yar ka dera
Ho par nadi ke yar ka dera
Aaj milan hai tera
Aaj milan hai tera
Odh le tu lahro ki chunri
Bandh le mauj ka sehra
Ho bandh le mauj ka sehra
Doli me majhdar ke
Hogi aaj teri vidai
Husn chala hai ishq se
Milne zulm ki badli chayi
Ho rat gajab ki aayi

Dubke in unchi lahro
Me naiya par lagale
Ulfat ke tufan me zinda
Rahe hai marne wale
Ho rahte hai marne wale
Jite ji snsar me kisne
Pyar ki manzil payi
Husn chala hai ishq se
Milne zulm ki badli chayi
Ho rat gajab ki aayi

Tere dil ke khun se
Hoga lal chanab ka pani
Dunia ke tarif me likhi
Jayegi ye pyrwali
Soni or mahiwal ne apni
Ishq me jan gawai
Ishq me jan gawai

Ho hamare pyare ke
Kisse sunaye jayenge
Ye geet sare zamane gaye jayenge
Hum na honge fasana hoga
Hum na honge fasana hoga
Aane wale ko aana hoga
Jane wale ko jana hoga.

See More Songs of Sohni Mahiwal 1958