ये तो पत्थरों का शहर है Ye To Pattharon Ka Shaher Hai Lyrics in Hindi from Pattharon Ka Shaher (1972)

Ye To Pattharon Ka Shaher Hai Lyrics in Hindi. ये तो पत्थरों का शहर है song from Pattharon Ka Shaher 1972. It stars Saira Banu, Suresh Chatwal. Singer of Ye To Pattharon Ka Shaher Hai is Mohammed Rafi. Lyrics are written by Irshad Khan Music is given by Usha Khanna

Song Name : Ye To Pattharon Ka Shaher Hai
Album / Movie : Pattharon Ka Shaher 1972
Star Cast : Saira Banu, Suresh Chatwal
Singer : Mohammed Rafi
Music Director : Usha Khanna
Lyrics by : Irshad Khan
Music Label : Saregama

Ye To Pattharon Ka Shaher Hai Lyrics in Hindi :

जो जुबां ऐ दिल न समझ सके
जो न कह सके कभी दिल की बात
वही बूत है हरसू निगाह में
जहां देखिये जहां जाईये
थी नज़र को चाह की आरज़ू
एहि एक अपनी ठी जुस्तजू
ये तो पत्थरों का शहर है
यहां किसको अपना बनाइये

वही वलवले वही मरहले
वही सुबह ो शाम के सिलसिले
वही हम रहे वही तुम रहे
वोही ज़िंदगानी के ग़म रहे
न नसीब अपना संभल सका
न ही वक़्त हमको बदल सका
यहाँ ज़िन्दगी एक ज़हर है
ये तो एक पराया शहर है
किसे दाग दिल के दिखाईये
किसे दाग दिल के दिखाईये
ये कहानी किसको सुनाये
ये तो पत्थरों का शहर है
यहां किसको अपना बनाइये

मुझे छोड़ कर वो चले गए
मेरे दिल की दिल में ही रह गयी
इक उम्मीद थी जो बुझी बुझी
मेरे आंसुओं में वो बह गयी
मेरे दर्द ए दिल का हो क्या भला
मेरा चारागर ही चला गया
मैं जियूं तो आखिर किस लिए
के नहीं है कोई मेरे लिए
कहाँ जाके मौत को ढूंढिए
कहाँ जाके मौत को ढूंढिए
कहाँ जान अपनी गँवानिये
ये तो पत्थरों का शहर है
यहां किसको अपना बनाइये.

Ye To Pattharon Ka Shaher Hai Lyrics in English :

Jo zubaan e dil na samajh sakey
Jo na keh sakey kabhi dil ki baat
Wohi but hai harsu nighaah mein
Jahaan dekhiye jahaan jaayiye
Thhi nazar ko chaah ki aarzoo
Yehi ek apni thhi justaju
Ye to pattharon ka shaher hai
Yahaan kisko apna banaaiye

Wohi walwale wohi marhale
Wohi subah o shaam ke silsile
Wohi ham rahe wohi tum rahe
Wohi zindgaani ke gham rahe
Na naseeb apna sambhal saka
Na hi waqt hamko badal saka
Yahaan zindagi ek zaher hai
Ye to ek paraaya shaher hai
Kise daag dil ke dikhaaiye
Kise daag dil ke dikhaaiye
Ye kahaani kisko sunaaiye
Ye to pattharon ka shaher hai
Yahaan kisko apna banaaiye

Mujhe chhod kar wo chale gaye
Mere dil ki dil mein hi reh gayi
Ik ummeed thi jo bujhi bujhi
Mere aansuon mein wo bah gayi
Mere dard e dil ka ho kya bhala
Mera chaaragar hi chala gaya
Main jiyun to aakhir kis liye
Ke nahin hai koi mere liye
Kahaan jaake maut ko dhoondhiye
Kahaan jaake maut ko dhoondhiye
Kahaan jaan apni ganwaaniye
Ye to pattharon ka shaher hai
Yahaan kisko apna banaaiye.

See More Songs of Pattharon Ka Shaher 1972